Jul 1, 2010

Aasma Ke Neeche Hum Aaj Apne Peeche

Raaji రాజ్యలక్ష్మి.N At Thursday, July 01, 2010


Aasma Ke Neeche



aasma ke neeche
hum aaj apne peechhe
pyaar ka jahaan basa ke chale
kadam ke nishaan bana ke chale

aasma ke neeche
hum aaj apne peechhe
pyaar ka jahaan basa ke chale
kadam ke nishaan bana ke chale

tum chale to phool jaise
aanchal ke rang se
saj gayi raahein
saj gayi raahein

paas aao main pehna doon
chahat ka haar ye
khuli khuli baahein
khuli khuli baahein

jis ka ho aanchal
khud hi chaman
kahiye wo kyun
haar baahon ke daale

arre aasma ke neeche
hum aaj apne peechhe
pyaar ka jahaan basa ke chale
kadam ke nishaan bana ke chale

bolti hain aaj aankhe
kuchh bhi na aaj tum
kehne do hum ko
kehne do hum ko

bekhudi badhti chali hai
ab to khamosh hi
rehne do hum ko
rehne do hum ko

ek baar ek baar mere liye
keh do khanke
laal hontho ke pyaale

aasma ke neeche
hum aaj apne peechhe
pyaar ka jahaan basa ke chale
kadam ke nishaan bana ke chale

saath mere chal ke dekho
aayi hain dhoom se
ab ki bahaaren
ab ki bahaaren

har gali har mod pe wo
dono ke naam se
hum ko pukaare
tum ko pukaare

keh do bahaaron se
aaye idhar un tak uthkar
hum nahi jaane wale

aasma ke neeche
hum aaj apne peechhe
pyaar ka jahaan basa ke chale
kadam ke nishaan bana ke chale

aasma ke neeche
hum aaj apne peechhe
pyaar ka jahaan basa ke chale
kadam ke nishaan bana ke chale




Movie - Jewel Thief (1952)
Music - S. D. Burman
Lyrics - Majrooh Sultanpuri
Singers - - Lata Mangeshkar ,Kishore Kumar

0 Comments:

 

Gaata Rahe Mera Dil Copyright © 2011 Design by Ipietoon Blogger Template | web hosting