Jul 1, 2010

Pyaar Hua Ikraar Hua Hai

Raaji రాజ్యలక్ష్మి.N At Thursday, July 01, 2010


Pyaar Hua Ikraar Hua Hai



Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil
Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil

Kehta hai dil rasta mushkil
Maaloom nahin hai kahan manjil
Kehta hai dil rasta mushkil
Maaloom nahin hai kahan manzil

Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil
Kehta hai dil rasta mushkil
Maaloom nahin hai kahan manzil

Pyaar hua, ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil

Aa, aa aa aa, aa aa aa, aa aa aa

Kaho ki apni preet ka geet
na badlega kabhi
Tum bhi kaho is raah ka
meet na badlega kabhi

Pyaar jo toota saath jo chhoota
Chaand na chamkega kabhi

Aa ha ha, aa ha ha
Aa aa aa, aa aa aa

(Aa ha ha, aa ha ha
Aa aa aa, aa aa aa)

Pyaar hua ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil
Kehta hai dil rasta mushkil
Maaloom nahin hai kahan manzil

Pyaar hua ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil
Aa, aa aa aa, aa aa aa, aa aa aa

Raatein dason dishaaon se

kahengi apni kahaaniyaan
Geet hamaare pyaar ke

dohraayegi jawaaniyaan

Main na rahoongi, tum na rahoge
Phir bhi rahengi nishaaniyaan

Pyaar hua ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil

Kehta hai dil rasta mushkil
Maaloom nahin hai kahan manzil

Kehta hai dil rasta mushkil
Maaloom nahin hai kahan manzil
Pyaar hua ikraar hua hai
Pyaar se phir kyoon darrta hai dil



Movie - Shri 420
Music - Shankar-Jaikishan
Lyrics - Shailendra
Singers - Manna Dey, Lata Mangeshkar


0 Comments:

 

Gaata Rahe Mera Dil Copyright © 2011 Design by Ipietoon Blogger Template | web hosting