Jul 23, 2010

Yeh Mausam Ka Jaadu Hai Mitwa

Raaji రాజ్యలక్ష్మి.N At Friday, July 23, 2010

Yeh Mausam Ka Jaadu Hai Mitwa





Thandi Thandi Purvaiya Mein
Udti Hai Chunariya, Hey
Dhadke Mora Jiya Rama
Bali Hai Umariya

Dil Pe, Nahin Kaabu....Kaisa, Yeh Jaadu

Yeh Mausam Ka Jaadu Hai Mitwa
Na Ab Dil Pe Kaabu Hai Mitwa
Naina Jisme Kho Gaye
Deewane Se Ho Gaye
Nazara Woh Harsu Hai Mitwa

Yeh Mausam Ka Jaadu Hai Mitwa...

Shehri Babu Ke Sang
Mem Gori Gori, Hey
Aise Lage Jaise
Chanda Ki Chakori

Phoolon Kaliyon Ki Bahaaren
Chanchal Yeh Hawaon Ki Pukaaren
Phoolon Kaliyon Ki Bahaaren
Chanchal Yeh Hawaon Ki Pukaaren

Humko Yeh Ishaaron Mein Kahen Hum
Thamke Yahan Ghadiyan Guzaaren
Pehle Kabhi To Na Humse
Batiyate The Aise Phulwa

Yeh Mausam Ka Jaadu Hai Mitwa...
Na Ab Dil Pe Kaabu Hai Mitwa
Naina Jisme Kho Gaye
Deewane Se Ho Gaye
Nazara Woh Harsu Hai Mitwa
Yeh Mausam Ka Jaadu Hai Mitwa...

Sachchi Sachchi Bolna
Bhed Na Chupaana, Hey
Kaun Dagar Se Aaye
Kaun Disha Hai Jaana

Inko Hum Le Ke Chale Hain
Apne Sang Apni Nagariya
Inko Hum Le Ke Chale Hain
Apne Sang Apni Nagariya

Hai Re Sang Anjaane Ka
Us Par Anjaan Dagariya
Phir Kaise Tum Door Itne
Sang Aa Gayee Mere Goriya

Yeh Mausam Ka Jaadu Hai Mitwa
Na Ab Dil Pe Kaabu Hai Mitwa
Naina Jisme Kho Gaye
Deewane Se Ho Gaye
Nazara Woh Harsu Hai Mitwa
Yeh Mausam Ka Jaadu Hai Mitwa...


Hum Aapke Hain Koun...! (1994)
Singers -Lata Mangeshkar,
S. P. Balasubrahmanyam
Composers -Ram Laxman
Lyricists -Ravinder Rawal

0 Comments:

 

Gaata Rahe Mera Dil Copyright © 2011 Design by Ipietoon Blogger Template | web hosting