Aaj agar milan ki raat hoti
Jaane kya baat hoti
To kya baat hoti
Sunte hain jab pyaar ho toh
Diye jal uthte hain
Tan mein mann mein aur nayan mein
Diye jal uthte hain
Aaja piya aaja
Aaja piya aaja ho
Naa ja piya aaja
Teri hi tere hi liye jalte diye
Bitani tere
saaye mein saaye mein
Zindagani bitani tere
saaye mein saaye mein
Kabhi kabhi
Kabhi kabhi aise diyon se
Lag bhi jaati aag bhi
Dhule dhule se aanchalon pe
Lag hain jaate raag bhi
Hain viraano mein badalte
Dekhe mann ke baag bhi
Sapno mein shringar ho to
Diye jal uthte hain
Khwahishon ke aur sharam ke
Diye jal uthte hain
Aaja piya aaja
teri hi tere hi liye Jalte diye
Bitani tere
saaye mein saaye mein
Zindagani bitani tere
saaye mein saaye mein
Mera nahin ..
Mera nahin hai woh diya jo
Jal raha hai mere liye
Meri taraf kyun ye ujaale
Aaye hain inko rokiye
Yoon begaani roshni mein
Kab talak koi jiye
Saanson mein jhankaar ho to
Diye jal uthte hain
Jhanjharon mein kangano mein
Diye jal uthte hain
Aaja piya hmmm
Jalte diye
Bitani tere
saaye mein saaye mein
Zindagani bitani tere
saaye mein saaye mein
Saaye mein saaye tere
Saaye mein tere .. bitani zindagani
Saaye mein saaye tere
Saaye mein .. bitani Zindagani
Music: Himesh Reshammiya
Lyrics: Irshad Kamil
Singers: Vineet Singh, Anwesshaa
Additional Vocals: Harshdeep Kaur,
Shabab Sabri, Chorus
Lyrics: Irshad Kamil
Singers: Vineet Singh, Anwesshaa
Additional Vocals: Harshdeep Kaur,
Shabab Sabri, Chorus
0 Comments:
Post a Comment