Aur aahista kijiye baatein
dhadkanein koyi sun raha hoga
Aur aahista kijiye baatein
dhadkanein koyi sun raha hoga
Lafz girne na paayein hothon se
waqt ke haath inko chun lenge
Kaan rakhte hain yeh dar-o-deewaar
raaz ki saari baat sun lenge
Aur aahista kijiye baatein
Aise bolo ki dil ka afsana
dil sune aur nigaah dohraaye
Aise bolo ki dil ka afsana
dil sune aur nigaah dohraaye
Apne chaaron taraf ki yeh duniya
saans ka shor bhi na sun paaye
Na sun paaye
Aur aahista kijiye baatein
dhadkanein koyi sun raha hoga
Lafz girne na paayein hothon se
waqt ke haath inko chun lenge
Kaan rakhte hain yeh dar-o-deewaar
raaz ki saari baat sun lenge
Aur aahista kijiye baatein
Aayiye band kar lein darwaaze
raat sapnein chura na le jaaye
Aayiye band kar lein darwaaze
raat sapnein chura na le jaaye
Koi jhonka hawa ka awaara
dil ki baaton ko uda na le jaaye
Na le jaaye
Aur aahista kijiye baatein
dhadkanein koyi sun raha hoga
Lafz girne na paayein hothon se
waqt ke haath inko chun lenge
Kaan rakhte hain yeh dar-o-deewaar
raaz ki saari baat sun lenge
Aur aahista kijiye baatein
Aaj itne kareeb aa jao
dooriyon ka kahin nishaan na rahe
Aaj itne kareeb aa jao
dooriyon ka kahin nishaan na rahe
Aise ek doosre mein gum ho jaaye
faasla koyi darmiyaan na reh jaaye
Na reh jaaye
Aur aahista kijiye baatein
dhadkanein koyi sun raha hoga
Lafz girne na paayein hothon se
waqt ke haath inko chun lenge
Kaan rakhte hain yeh dar-o-deewaar
raaz ki saari baat sun lenge
Aur aahista kijiye baatein
Pankaj Udhas
year - 1996
0 Comments:
Post a Comment